lenss dukaan

Boliye, hisaab app karega.

Kirana dukaan ka udhar, deal aur galla: sab bol ke. Aapke Munaafe ka Saathi.

बोलिए, हिसाब ऐप करेगा। उधार, डील और गल्ला, सब बोल के।

⬇ App download kariye

Android phone ke liye · 96 MB · WiFi pe download kariye

3 din bilkul free · phir ₹500/mahina

Boliye, likhna nahi padega

“Ramesh ko 450 udhar” boliye. App poochhega “Likh doon?”, aap Haan dabaiye. Hindi ya Hinglish, dono chalega.

Udhar khata

Har customer ka baaki aur kitne din se. Limit lagaiye, aur WhatsApp pe izzat se yaad dilaiye.

Lelu kya? Deal check

Distributor ka offer boliye. App seedha bataega: kitne lijiye, kitni bachat, aur kab kitna dena hoga.

Raat ka hisaab · 1 minute

UPI aur galle ka cash bataiye. App batayega galla theek hai, ya kal ke payment ke liye kitna kam pad raha hai.

Bill photo check

Supplier ke bill ki photo lijiye. Har line ka jod, aur pichhli baar se rate badha ya nahi.

Jawab awaaz me

Padhne ki zaroorat nahi. App apna jawab bol ke sunata hai.

Install kaise kariye

  1. 1Upar “App download kariye” dabaiye.
  2. 2Download poora ho toh file kholiye. Phone poochhe “Is source se install karein?” toh “Allow” kariye.
  3. 3“Install” dabaiye, app kholiye, aur apne mobile number se login kariye.

Plan

Pehle 3 din sab kuch free. Uske baad deal check, raat ka hisaab aur bill check ke liye ₹500/mahina. Khata dekhna aur jama likhna hamesha free rahega. Plan chalu karwane ke liye humse WhatsApp pe baat kariye.

WhatsApp pe baat kariye

Aapka khata aapke phone me rehta hai. Login karne par uska backup aapke liye rakha jata hai. Koi vigyapan nahi, aapka data kisi ko becha nahi jata.